Relationships
Kuch Dhundali Si Yaadein

Tujh Sang Bitaye palo ki kuch dhundhli si hai yaadein, Kano main gunj uthati hai kabhi, barso purani awaazein.

Nanhi gudiya ko khelte dekha jab apney pita ke saath, laut jana chaha tha maine usi pal main, Jab pyar banta hoga tumne mere sath

Sabse purani wo aakhri mulakat, yaad nahi kuch uss yaad ke baad. Dimag par zorr dala jitna, Dil bhar aaya mera utna, Soch main pad jaati hu, ki kyu aaj meri Zindagi tujh sang aabad nahi.

Tu Sath hota to pyar karti kabhi to kabhi tujh sang ladti, seekhti tujhse duniya-daari, to kabhi kitaabein thaam tujh sang padhti. Teri palko ki chao tale tere ladd dular main palti.

Yaad aata hai kuch kuch, kab tune tha khel main mujhe haraaya, mele ka aakarshan dikhane, apne kandho par mujhe chadhaya.

Yaad hai mujhko wo cycle chalana, teri godi main beth car ka steering sambhalna. Scooter par, aagey khada kar beach par tera mujhe Maa sung le jaana, zidd par meri fir wo chatpata khana khilana. Meri ankho ki bhasha padh wo Gubara dilaana.

Kaam se laut kar aate the jab, lohe to kabhi kanse ki aati thi Khushboo,

Yaad aata hai tere hath ka wo sparsh, meri kamyabi par tere chehra par khilta tha harsh, ye sab reh gaya hai beeta zamaana In sabse ab kabhi na ho paungi main rubaroo.

Yu to sath chalta tu har dum hai, fir kyu ladkhadate mere kadam hai?, Saump chala tu jo zimedari, pyar mila ussey itna, sari umar rahungi main aabhari. Amaanat bana jisey byah laya tha tu, de chala tu mujhe rakhne ko sambhal abb hai meri baari.

Moh maaya chodd tu jo badaa muskurata hai, kese sang rakhu teri amaanat har dum? Mujhe tu kyu nahi bataata hai.

Farz nibhaaungi beta bann, par main hu ik beti, ik din vida ho jaungi main!! Sari duniya yehi hai kehti.

© Manisha Dawar

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India